10 Tareqe Chehre ke Pimples Remove Karneke

Girls ke Pimples remove karneke 10 tareqe

Sari larkion ki life mai kbhi na kbhi ek aisa time ata ha jab unko pimple problems hone lagte hai. Aise time pe har koi ek totke ke sath khara hota ha. Ye kro to pimples nahi hon ga, ye kro to chale jae ga. In mai se koi kam krta ha or koi nahi krta. Is masle k hal ke lye hum ne aise totke ikathe kiye hai jo hazaron bar azmaye gae hai. Ye totke boht hi asan hai or inke lye jo bhi cheez chahye hoti ha wo mostly humare gharon mai hi hoti ha.

1- Ande Ki Sufaidi

Ande Ki Sufaidi

Ande ki sufaidi (Egg white) sab se asan or sasta tareeqa hoga pimples khatam krne ka. Ande ki sufaidi mai aise vitamins or acids hote hai jo pimples ko khatam krte hai or sath hi skin se purane pimples ke nishan mitate hai. Do ando ki sufaidi ek pyali mai alag kr len. Isko thora sa mix krne ke bad 3-4 minute k lye rakh den. Phr ye ande ki sufaidi ungli se pimples par lgaen. Isk sookhne ka intezar kren or phr se dano par lgaen. Aise 4 martaba kren. Akhir mai poore chehre pe ye sufaidi lgaen or 20 minute tak is mask ko rehne den.

2- Neem

Neem akeli cheez ha jo skin ke~ har masle ka ilaj ha or isko istemal krne k tareeqe bhi kafi sare hai. Agar apke pas neem k patte hai to unko ache se dho ke koot len. Jab paste ban jae to jahan jahan pimples hai isko wahan lagaen. 20 minute k lye rehene den of phr munh dho len. Dosra tareeqa ye ha neem oil or neem powder mix kr ke paste bna  len. Halke garam pani se munh dho kapas se ye paste dano par lga len. Rat ko ye lga k so jaen ta k neem pimple krne wale sare bacteria ko khatam kr de.

3- Toothpaste

Jee han. Jo toothpaste ap har subha istemaal krte hai wo pimples khatam krne mai bhi istemaal ho skti ha. Toothpaste istemaal krne se pehle ek kapre mai baraf ka tukra lapait ke pimples par press kren. Is se pimples ki soojan kam hogi. Iske bad ek sufaid toothpaste len (Gel wali  ya coloured toothpaste na ho) or ungli se dano par lga len. Kam se kam 30 minute k lye lgaen or phr munh dho len. Zada ache asar ke lye rat ko laga ke sojaen. Subhe halke garam pani se massage kr ke munh dhoyen.

4- Papita

Papita

Papita purani skin ko remove krta ha or skin ka zada oil nahi nikalne deta. Is mai aise enzymes hote hao jo pimples ki soojan kam krte hai or puss paida nahi hone dete. Ek taza papita le k thora sa kat len. Isske beej niklen or or ache se mash kr len. Halke garam pani se munh dhoyen or ye paste lga len. Kam se kam 30 minute tak isko lgae rakhen. Ye totka 3-4 din tak krne se pimples khatam hojae ga.

5- Multani Mitti (Fuller’s Earth)

Multani mitti k skin ke lye boht faidamand hai. Ye pimples or inke nishan mitane mai bhi boht madad krti ha. Ek chamach multani mitti mai gulab ka arq dalen. Isko thori der rakh den ta ke mitti naram hojae. Phr is paste ko pimples par lagaen. Kam se kam dus minute lagae or phr munh dho len. Ye din mai 4 bar kren or 4 din tak krte rahen. Pimples or inke nishan chale jaen ga.

6- Strawberry

Strawberry

Strawberry mai aisa compounds hote hai jo skin k lye boht ache hote hai.  Isi waja se strawberry ka arq boht se skin products mai istemaal hota ha. 3 strawberries le kr inko ache se dho len ta ke sari mitti nikal jae. Inko koot k paste bna len phr is mai 2 chamach shehad mix kr len. Ye paste munh par 30 minute lgaen or phr dho len.

7- Limoo ka ras

Limoo ka ras pimples taizi se khatam krta ha. Is mai aise vitamins or enzymes hote hai jo skin mai shine paida krte hai or dano ko jaldi dry krta ha. Limoo ka ras  ek pyali mai nikal len or is mai ek chutki daar chini powder milaen. Ache se munh dhone ke bad kapas se ye ras munh pe lgae or kch ghanton k lye lage rehne den. Kch din tak krne ke bad pimples khatam hone lage ga.

8- Fish oil Capsules

Fish oil Capsules

Fish oil capsules chemist se ya kisi cosmetic shop se milte hai. Is mai aise fatty acids hote hai jo skin ko boht faida dete hai. Soojan kam krte hai or pimples ko jaldi thek krte hai.  Roz ek fish oil capsule pani k sath kha len. Kch mahino tak khate rahen jab tak acne khatam na hojae. Capsule khol k iska oil dano par lgane se bhi pimple jaldi thek hote hai.

**Ye sab krne se pehle is bat  ki tasali kr len k apko fish se allergy to nahi ha.

9- Baking Soda

Ek or gharelu chez jo pimples khatam krti ha wo ha baking soda. Ek chamach baking soda mai ek thora sa pani dalen. Itna ke ek garrha sa paste ban jae. Munh dhone ke bad is paste ko pimples par lgae.  2-3 minute k bad munh dho len. Is totke ko din mai 3 bar krne se pimples taizi se khatam hote hai.

**Ye paste 3 minute se zada skin par na lagaen.

10- Aloe Vera

Aloe Vera

Aloe Vera skin ke lye boht achi hoti ha. Aloe vera gel dano par lgane se dane jaldi khatam hote hai. Agar aloe vera gel nahi hai to fresh aloe vera kat k iski gel nikalen. Is gel mai thora sa shehad mila len. Munh dhone ke bad dano par hath se ek minute massage kren or phr chor den. 20 minute bad munh dho len. 2-3 din krne ke bad farq nazar ane lag jae ga.

2 Replies to “10 Tareqe Chehre ke Pimples Remove Karneke”

  1. میرے چہرے کے دانے تو ختم ہو گۓ ہے مگر سرخ نشان ہے وہ کیسے ختم ہو گے

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *