Akhrot ke fayde or nuksan | Benefits of Walnuts in Hindi/Urdu

Akhrot ke fayde

akhrot aik mukamal ghaza hai yan yunhbhi keh sakte hai ke akhrot khane ka naim ul badal hai.

Akhrot ke faide. Akhrot aik neyaet lazeez phal hai.is mein vitamins or nutrients khaasi miqdar me hotein.akhrot ke bohat fwaide hai.ye taseer mein garm or khane mein khuch kuch namkeen hota hai.isme potassium,calcium vitamin b6 ,b12 ,carbohydrates or minerals hotein hain jo hamein sehat mand rakhte hain.ye hamein taqat dete hai active rakhte hai.iske faide bhi bohat hain or kuch nuqsan bhi hain.

1- Demaghi Sehat

Akhrot dikhne mein hi demagh jesa hota or demagh ke liye bohat hi faida mand hota hai.hmare demagh ko tandrutsti deta hai.isme fatty acid hote hai jese ke omega 6 jo hmare demagh ko tandrust rakhtein hain.

2- Dil

khoon ki dauran achi chalti hain,aur dil me koi heart diseases yani dil ki beemariyan paida nahi hoti.Dil ke liye akhrot bohat acha hai is mein majood nutrients cholesterol ko control mein rakhtein hain.

3- Wazan ko kam karskta

aksar logon ko yeh lagta hoga ki walnuts se wazan badh jata hain,lekin aisa kuch nahi hain,doctors ne bhi yeh baat ko mana hain ke akhrot wazan ko maintain rakhta hain.kyu ki,isme protein,fats aur calories sahi level me maujood hote hain jo humare wazan ko badhne nahi dete hain.

4- Cancer ko khatam karti hai

akhrot dikhne me to ek chota sa sukha phal hain lekin,yeh cancer jaisi beemariyon se bhi humein bachata hain,breast cancer,colon cancer aur prostate cancer jaisi beemariyon ke liye akhrot bohat hi umda phal hain,scientific research ke mutabiq bhi yeh pata chala hain ke akhrot ke khane se cancer 30-40% logon me kam hogaya.

5- Hadiyon ki mazbooti ke liye

akhrot khane se haddiyan me mazbooti aati hain.kyu ki,isme calcium hota hai jo humare haddiyon ko mazboot rakhta hain.jodon ke dard,hadiyon me sujun me bhi aaram dilata hain.

6- Mardon ke liye

ji haan aapne sahi padha akhrot ke khaane se mardon ko kaafi fayda hota hain,isme selenium,zinc,calium jaise minerals aur vitamins mani sperms ko badhate hain aur sperm ki motility aur quality me fayda karte hain aur testosterone jaise male hormones ko increase karte hain.

7- Hamla aurton ke liye

hamela aurat yani pregnant women agar akhrot khaye to uske bache dani(womb) me taqat aur bache ki health kaafi achi hoti hain bacche ke brain development me kaafi fayda deta hain.

8- Neend ke masle mein

insomnia yani neend ka time pe nahi aana akhrot khane se neend ache se aati hain,yeh insomnia ko treat karta hain.

9- Jils ke liye

akhrot humare skin bhi bohat fayda deta hain,iske nutrients humare skin pe dhabbe daag aur jhurriyon ko kam karte hain skin me chamak laate hain.

10- Balon ke liye

baalon ke liye bhi akhrot bada faydemand hain,yeh baalon ko girne se bachata hain baalon me mazbooti aur chamak lata hain aur baalon ko safed nahi hone deta hain.

Nuksan

Chun ke iski taseer garam hoti hai to aik hi din 5-6 khane se hazma khraab hoskta hai,garmi ho sakti hai.is liye ziada khane se parhaiz karna chaiye.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *