Badam ke fayde aur Nuksan | Almonds Benefits in Urdu/Hindi

Badam ke fayde aur nuksan

Badaam aik nihayet mufeed mewa hai.is mein woh tmam anasir wafer miqdar mein majood hain jo hmare jism ke liye zaroori hain.ye aik bohat kamal ki ghiza hai jo dil o demagh ke liye mufeed hai. is se bohat si beemariyon ka ilaj bhi mumkin hai.

Ghizai ajza

Badaam ke sou gram maghaz mein 5.2% pani ,20.8% protein or fats majood hotein .iske ilawa fiber,iron,calcium, nayasin or vitamin bhi hotein hain.ismein pi jane wali chiknai bohat mufeed or sehat bakhsh hoti hai.

Deegar malomaat

Badaam ki taseergaram hoti hai. Iski 2 iqsam hoti hein, Sheereen aur Talkh. Khane ke liye sirf sheereen qism ka istemal karna chahiye. Talkh qism ko khane se mana kiya jata hei.
Zaroori hei ke mausam ki munasibat se isko sahi tareeqa se istemal kiya jaye. Sardi ke mosam mein log isko aasani se hazam ker lete hein. Garmion ke mosam mein baaz garam mizaj ke logon ko yeh mawafiq nahi aata. Aise log iska istemal Sardai ki soorat mein kar sakte hein.
Isko khaane ka behtreen tarika yeh hei ke isko khoob chaba chaba kar khaya jaye. Taake is mein munh ka Luaab shaamil hota rahe. Is tarah yeh aasani se hazam ho sakta hei.

Fawaid

Ye aik khushk mewa hai jo garam taseer rakhta hai.iske bohat se fawaid hai.mukhtalif cheezon mein iska istemal faida deta hai.aye iske kuch fawaid pe nazar dalte hain:

Jasmani kamzori ke liye

Badaam se jasmani kamzori ka ilaaj kiya ja skta haikhoon ko peda karta hai jo shat ko behter arta hai.12 daane badaam ke kishmish ke sath sari rat bhgo ke rakh dein or subha nihar munh kha lein khuch hi dino mein sehat qabil e rashk hojaye gi.

Nazar ke liye

Ankhon ke liye badaam ka istemal bohat mufeed hai.badaam ko pees ke powder bna ke rakh lein or roz rat ko sone se pehle garam doodh ke sath aik chamach le le ..khraab nazar bohat jald theek hojaye gi.

Demaghi kamzori ke liye

Ager aap thora sa kam kar ke thak jatein hai to badaam ka istemal karein ye apko fori taqat dega or quwat me izafa kare ga.

Badaam ke mazeed fayde

Badam ke regular istemal se mardana taaqat mein izafa hota hei. Is maqsad ke liye Badam aur Bhune hue Chane brabar wazan mein le kar rozana chaba kar kha liya krein. Yeh amal Minni mein izafa karne ke ilawa Jinsi quwat ki bahaali mein madadgar saabit ho ga.
Sardi ke mausam mein agar band Nazle ki shikayat ho jaati ho to yeh nuskha use karein. 11 adad Badam le kar aik kapre mein lapait lein aur inko garam bhaap mein rakh dein. Kuch minutes baad nikal kar garm garm khaa kar band kamre mein lait jayen

  • Wazan barhane ke liye mufeed hai
  • Balgham ko khatam karta hai
  • Iska tail chere ke liye bohat mufeed hai
  • Roghan e badaam se jism ka koi bhi hissa dard horha ho iski malish se theek hojaye ga
  • Balon ki behtereen nashw o numa ke liye balon me massage karein

Ye duniya bhar me kasht kiya jata hai or istemal bhi kiya jata hai.iski bohat si iqsaam hain or hark ism me alg alg nutrients hotein hain.hasil e guftgu  ye ha ke badaam aik sehat bakash khushk mewa hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *