Aam ke fayde | Mango Health Benefits in Urdu/Hindi

aam ke fayde in urdu

Aik tehkeek se yeh bat sabit hogyi hai kea am sab phalon mein se mufeed or bohat si khasoosiyat ka hamil phal hai.iski bari wajha is mein majood vitamin A or C ki kaas miqdar hai.yahi wajah hai kea am ko phalon ka badshah kaha gaya hai.

Aam mein majood nutrients:

  1. Fat 0.5 grams
  2. Calories 100
  3. Sugar 24 gram
  4. Fiber 3 gram
  5. Protein 1 gram
  6. Vitamin C 100%
  7. Vitamin B-6 10%
  8. Vitamin A 35%
  9.  Folate 20%
  10. Potassium 8%
  11. Vitamin K 8%

Cooper,calcium or potassium ki bhi is mein khaasi miqdar hoti hai jo hmare khane mein iron ki kami ko door karti hai.

Hamla aurton ke liye fawaid

Mahireen ka kehna hai jo khawateen pehli pehli bar maa ban rahi hai wo hamal ke doran aam ka istemal karein kyun ke is bache bohat khoobsurta or sehat mand paida honge.iski waja aam mein majood ghizai ajza hain jo jasmani sehat ke liye bohat ache hain.

Kam meetha or resher dar aam hamla auraton ke liye bohat mufeed hai lekin ziada miqdar mein khane se nuqsaan deh bhi ho sakta hai.

Khoon ko saaf karta hai

Jaded sciency tehreeq ke mutabiq ye bat waziya hogayi hai kea am mein aise nutrients hotein hain jo khoon ko qudrati to par saaf kartein hain. Aam sab ke liye bohat mufeed hai khaas tor pe jo jasmani kamzor hain ya jinhe khoon ki kami ho wo apne mamool mein aam ko bhi shamil karlein.

Jismani nash o numa

Ye khush zaiqa or har dl aziz phal na sirf khoon ki behteri ke liye mufeed tonic hai balke jismani nash o numa ke liye bohat hai.isme glucose,phosphorus calcium or fiber ki khaasi miqdar hone ki wajah se jism ko phulata hai.dil or demagh ke sth sath seene or phepharon ke liye bhi acha hai.

Aam ke fayde

Mukhtalif masail ke hal ke liye aam ke chand istemal:

  1. Aam ka ras mukhsoos tarekey sey istemal karne par nizam-e-inhazaam ko taqwiat deta hai. Es kay liye 60 garam aam kay ras mein 2 garam soonth pees kar milayn aur subah nehaar munh peyn.
  2. Jismani kamzoori door karne mein aam ki hasiat musalma hai. Es kay liye rozana subha kay waqt khoob pakkay howe meethay aam khayn aur garam doodh mein zara see soonth mila kar pee lein. Es tarah jisam mazboot hota hai aur jismani, zehni aur sanfi salaheton mein bhi izafa ho jata hai.
  3. Aam aur jamin kay patton ko alaida aliada kuchal kar 20, 20 garam khalis ras nikal kar 250 garam doodh mein mila dein aur phir qadray cheeni mila kar mareez ko pilayn. Yeh nuskhah khon-o-badi dono kisam ki bawaseer  kay mareezon kay liye mufeed sabat howa hai.
  4. Garmi ki wajah sey honey waley bukhar kay ilaaj kay liye bhi mosam garma ka yeh mashhoor aur har dilazeez phal buhat mustamil dekha gaya hai. Es maqsad kay liye kachay aam ko bhoon kar es ka ras nichor lein phir es mein qadray cheeni mila kar barf sey thanda kar kay pilayn. Lo lagne aur es sey gashi peda honey garam-o-martoob hawaoun kay asraat aur es sey bukhar mein mubtalaa honey aur garmi ko door karne mein yeh nuskhah buhat mufeed sabit ho sakta hai.

Aam ke chand fwaid

  1. Aam choos kar uper sey kachi lassi istemal karne sey baah ko khatar khah quwat puhanchti hai.
  2. Aam ka ras tabiat mein farhat peda karta hai. Khon ki miqdaar mein izafa karta hai aur badan ko takwiat deta hai.
  3. Es kay khane sey jisam ko farhabi milti hai.
  4. Qabz ko door karne mein buhat zayda mufeed hai.
  5. Peshab lane ki khasosi taseer rakhta hai.
  6. Aam kay phool ka safoof khon aur balgam kay fasad ko door karta hai.
  7. Es ki gutli dast band karne ko mufeed hai aur maadah toleed ko ghara karti hai. Meetha aur taza pakka howa aam jisey tapka bhi kehte hain agar bagair reesha kay ho to zayda mufeed aur sahet o zayqa bakhash hota hai.

Aam ke bad lassi peena

Aam khate huwe hamesha aik bat zehan mein rakhni chaiye ke is ke forn bad kachi lassi peeye kyun ke aam ki taseer garam hoti hai tou ye apko garmi se or dano se mehfooz rakhe gi.

Aam kab nahin khana chaiye

Nihar munh aam khane guraiz karein ye sehat ke liyebacha nahi hota.nihar munh aam khane se ghbrahat,qeh or matli hoti hai.iski ziadti bhi sehat ke liye muzer hai lehaza is bat ko dhyaan mein rakh ke khay hamesha.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *