Kela khane ke fayde – Banana Benefits in Urdu/Hindi

Kela khane ke fayde

Kela aik qadeem phal hai jou saal ke 365 din dastyaab rehta hai.ye wahid phal hai jou bachon ke sath sath bare bhi bohat shok se khatein hain or koi nakhre nahi karte.kela mazedar hone ke sath hi bohat ghizaiyet dene wala phal hai.

Kelo mein fiber,calcium  hota hai or iski qudrati mithaas isko bohat lazeez bnati hai.isi liye doctors bhi roz aik kela lazmi khane ko kehte hain ye apko mutadid beemariyon se bachata hai.

Aksar log aik sath hi bohat sare kele khareed latein hai lekin kele jald hi khraab hojatein hai or log unko phenk dete hain lekin log in khraab kelon ki ehmiyat ko nahi jante.khraab huwe kelon ke bhoore dhabe cancer ko khatam karne bohat mufeed hain.in ke ilawa brain tumor ke liye bhi muawan hain.is ke sath sath yeh kele quwat e mudafat ko bhi mazboot bnate hain.isme bohat kam miqdar mein namak hota hai or pottacium ki miqdar ziada hone ki wajah se blood pressure ke mareezon ke liye bohat mufeed hai.is se ham ulcer ka ilaj bhi bohat jald kar saktein hain.maide ki jalan ko fori khtam karta hi.kele mein teen qudrati mithaas mojood hoti hai jin me sucrse,glucose,fructose hai jo jism ko fori tawanai fraham kartein hai or tawanai bhi aisi ke mehsus ho

In sab ke ilawa bhi kele ke bohat se fwaid hain jo zail mein darj hain:

Qabaz ka fori ilaj

Kele mein fiber ki khasi miqdar majood hoti hai jo anton ki tehreek ki bahali mein madad deti hai,qabz mein mubtala insaan kela kha kar bgair kisi dawa ke qabz ka ilaj kar saktein hai.

Seene ki jalan

Kele mein kuch aise nutrients hotein hain jo jism mein majood tezabi made ko khatam kartein hain.is liye jab bhi seene mein jalan ki shikayet ho to kele kha lein fori araam mile ga

Ulcer ka ilaj

Kele ka gooda chunke bohat naram hota hai to iska mede ki sozish ke doran khana nihayet mufeed hota hai.mede ki jlan ke sath sath sozish khatam karta hai,anton ke zakham me maddadgar hai.iska good mede ki deewaron ke ird gird hifazati laip bna detein hain jo ulcer se bachata hai

Mahwari

Khawateen ko mahwari mein har mah kuch khass alamat se guzrna parta hai unme jasmani or jazbati takleef hoti.jinke ilaj ke liye unko mukhtalif dawaon ki zaroorat hoti hai.lekin mahwari se pehle kele ka istemal apko in dawaon se bacha sakta hai.

Khoon ki kami ka ilaj

Khawateen aam tor par khoon ki kami ka shikar hoti hain. Khoon ke aik intehai ahum juz hai hemoglobin ki kami se khawateen bohat se masail ka shikar ho jati hain. Kele mein yeh khasiyat hoti hai keh wo khoon mein shamil hemoglobin ki paidawar ko mutahrik kar deta hai aur yun anemia ki shkar khawateen ki madad ho jati hai.

Blood pressure

Garam jaghon mein kasht kia jane wala yeh phal apne andar potassium ki qabil e zikar mqdar rakhta hai jab keh is mein namak ki miqdar buhat kam hoti hai. Is lehaz se bp kam karne ke liye ise mufeed phal kaha gaya hai. Kele ki is khasiyat ko American food and drug administration ne bhi tasleem kia hai aur haal hi mein is ne kele  ko is bare mein dawa ka kam krta hai is ke khane se blood pressure aur falij ka khatra kam ho jata hai.

Aisaab ko pur sakoon karta hai

Kele mein B vitamin ki khaasi  mqdar hoti hai jis se hamara androoni nizam pur sakoon rehta hai. Austria ke institute of psychology ke jaizon mein dekha gia hai keh jo log apne kaam ki jagah par zehni dabao mein hote hain wo chips aur chocolate jaisi cheezein ziada khate hain. Hospitals mein dakhil 5 hazar se zaid marizon ka jaizah le kar research ne yeh sabit kia hai keh in mein farbahi ke shikar afrad aise mahol mein kaam kar rahe the jahan zehni tanao apne orooj par tha is liye wo fori tawanai bahal karne wali ghizayein ziada kha rahe the jis se in ka wazan barh raha tha aise logon ko chahiye keh wo hakle phulke nashte ke tor par kele khayein.

Hasil e guftgu

Kele ke bare mein gehrai se janne ke bad ham is nateeje pe pohanchein hain ke kela aik nihayet mufeed or sehat baksh phal hai iska rozana istemal na sirf hamein tawana rakh sakta hai balke bohat si beemariyon se bhi mefooz rakh sakta hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *