Sesame seeds (til) ke fayde | Til Benefits in Urdu/Hindi

Sesame seeds ke fayde

Til bazahir to chote chote se daane hain lekin inme bohat se nutrients or healthy fat hotein hain. Til har ghaza ko antioxidant food bnata hai jo apki skin ko saaf karta hai jismani azah ko mazboot karta hai.

Sesame seed per bohat bar research ki gayi hai or har bar nataij faida mand aye hain.isme bohat se sehat ke liye faide mojood hain is liye doctors bhi iske istemal ki tazweez dete hain.

Til ke chand fwaide

  • High blood pressure se bchata hai
  • Cholesterol balance rkhta hai
  • Dil ke amraaz mein faida deta hai
  • Demagh ko mazboot karte hai
  • Exercise ki performance achi karta hai
  • Skin ko saaf karta hai

Sesame seeds mein wafer miqdar mein oil or fats hotein hain

Til ka istemal skin ke liye

Til mein mojood vitamin E or nutrient oil hotein jo skin ko tar o taza rakhtein hain. Til ko pees ke shehad ke sath mila kar 10 min ke liye chehre pe lgaye ye apki skin ko khushnuma bna dega.

Balon ke liye mufeed hai

Til ke beej balon ki jaron ko taqweeyat detein hain  til mein majood omega or fatty acid   hotein hain jo balon ki afzaish ke liye bohat zaroori hain.

Anti-aging ko rokte hain

Til mein anti-oxidant wafer miqdar mein hotein hain jo anti-aging se rokte hain or skin jawan rakhte hain.

Skin ko khoobsurat bnane ke liye

Til ke beejon mein majood tail jild ko naram o malaim or komal bnate hain.is mein majood nutrients chehre ki sozish or lali ko khatam kartein hain.do chamach til ka paste or aik chamach zaitoon ka tail achi tarha mix karke chehre pe lgaein.behtereen nataij ke liye hafte mein 2 bar istemal karein.

Danton ki hifazat ke liye

Is mein mojood oil danton ko chamakdar or mazboot bnata hai.

Nizam e inhazam ko behter karta hai

Kaale til qabz mein bohat madadgar hotein hain kyun ke usmein fatty acid or nutrient hotein hai jo digesion system ko behter karte hain.

Taqat muhaiya karte hain

Is mein majood high fiber or fatty acid jism ko taqat detein hain.hafte mein 2 bar istemal se kuch hi dino mein sehat ko qabil e rashk bna deta hai.isk ilawa isme calcium,potassium,magnesium or vitamin hote hai jo behtereen energy booster hain.

Blood pressure ko normal rakhta hai

Sesame seed mein magnesium hotein jo blood pressure ko control me rakhtein hain.khano mein inka istemal bohat faida mand hota hai.

Stress ko door karta hai

Til ka musalsal istemal har tarha ki anxiety ,stress or depression ko khatam karta hai.if you are experiencing sleeplessness so you should use sesame oil at night .this will keep you calm and provide relaxation.

Nuqsan

Har cheez ki ziyadti nuqsan deh hoti hai isi tarha sesame seed ka bhi zaroorat se ziada istemal .iski wajah ye hai k til or iska tail garam hota hai tou iski zaroorat se ziada istemal pimples,motape ka bhi sabab ban sakta hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *