Strawberry Ke Fayde | Strawberry Benefits in Urdu/Hindi

Strawberry Ke Fayde

Strawberry kise achi nahi lagti khaas tor pe bache bohat shok se khate hain.strwaberry ko ham kai tarha se khatein hai maslan strawberry cake,candies,biscuits wagera.strawberry aik aisa phal hai jo har umar ke insaan ko ba asaani pasand ajata hai.ye aik wahid phal hai jiske beej uske upper majood hotein hain.strawberry khane me khuch khati lekin nihayet lazeez hoti hai.ye ziada ter sardiyon mein ati hai.rangat ke aitbar se nihayet khush shakal hai.ye pjal poori duniya mein kasht ki jati hai lekin france mein iski paidawaar sab se ziada hai.strwaberry ziada tar march or april me bohat ziada tadad mein dastyaab hoti hai.strwaberry ka shake bhi nihayet lazeez hota hai or strawberry ka flavor duniya mein behtreen flavours mein se teesre number hai.

Strawberry ke fawaid

1- Blood pressure ke liye mufeed hai

Isme RDA ki 13% miqdar hoti hai jo blood pressure ko control mein rakhti hai

2- Uric acid meinn mufeed hai

Strawberry mein chemical compound fenel ka majmooa bhi rakhti hai jo jism mein anti-oxidant paida karta hai.ye oxidant jism mein uric acid ki miqdar ko ziada hone se rokte hai jis se ap bhook mehsus kartein hain.jab apko bhook kam lage tou strawberry ka istmal mufeed hai.

3- Digestion system behter karti hai

Trawberry mein majood dietery fiber apke nizaam e inhazaam ko behter karta hai.is liye jinko digestion ka masla ho who strawberry ka istemal ziada karein.

4- Hadiyon ko mazboot karta hai

Strawberry mein anti-inflammatory ke hone ki wajah se aap hadion ki beemariyon se door rehte hai.isme majood potassium or magnesium hadiyon ka quwat deta hai.

5- Cancer ke liye mufeed hai

is mein virtamin c ki khaasi miqdar hoti hai or iske sath hi anti-flammatory or anti-xident hotein hain jo cancer ke sath sath bohat si beemariyon se mehfooz rakhti hai.

6- Nazar ko behter karta hai

Roz 3-4 strawberry khane se beenai sai rehti hai

7- Chehre ke liye mask

Strawberry me whitening agents ki miqdar hoti hai jo jild ke liye bohat achi hai chehre ko shadabi deti hai.strawberry ko pees ke dooodh or shehad ke sath mila kar ye mask 15 min ke liye chehre pe lgaye or dho lein.is se apko fori glow mile ga.

Strawberry ke nuqsanat

1- Pregnancy

Strawberry wese tou bohat faida mand hai lekin pregnanat or doodhb peelane wali aurtaon ke liye kuch nuqsan deh hai.is liye kam miqdar mein khayein

2- Mahwari mein

Aurtaon mein mahwari ke doran strawberry ka istemal nusan deh hosakt hai.is ke ilawa jin logon ko peshab mein khoon ki shikayet ho to wo b strawberry khane se guraiz kare.

3- Surgery

Agre apka operation ya surgery hui hai tou uske bad strawberry khane se guraiz karein ye blood clotting ke process ko slow karti hai.

 

Jadeed tehkeek ke mutabiq jo log blood sugar ke marz mein mubtala hon unke liye ye phal bohat mufeed hai.strwaberry hamein bare stores takreeban sara saal mil jaye gi lekin fresh strawberry bahar kea wail mein hi dastyaan hoti hai.strwaberry hamesha dekh ke lein.aisi strawberry lein jou bahar sesurkh or chmakdar ho.fruit salad mein trwaberry aik acha izafa hai.iske ilawa diet ke liye bohat achi hai.kyun ke ye kam se kam calaories fraham karti hai.diet ke liye ise kisi dairy product mein daal ke istemal karein jese ke dahi, doodh wgera.aap ise apne sath kahin bhi leja saktein hai bar waqat ise pani lgana bohat zaroori hai.hasil e guftgu ye hai ke strawberry aik mufeed or sehat bakhsh phal hai.roz marah ke khane me iska istemal zaroori hai lekin aik khaas miqdar mein kyun ke kisi bhi cheez ki ziadti nuqsan deh hoti hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *