Top 10 Hazma Theek Karne Ke Tareeqe

Hazma Theek Karne ke 10 tareeqe

Kya apko bhi khana hazam krne mai masla hota ha? Research se pata chala ha ke ye masla boht logon ko hota ha or pareshani ki bat ye ha ke log is masle ko normal samajhne lg gae hain. Humara maida humare khae hue khane ko time par hazam kr k us se wo taqat leta ha jo humare jism ko zarorat ha.

Agar hum apne haaazme ka khayal nahi rakhe ga to humara jism wo taqat thek se nai hasil kr sake ga.
Humare digestion ka rishta us khane se ha jo hum khate hai or jaise hum zindgi guzarte hai. Kuch cheezon ka khayal rakh ke hum apne digestion ka nizaam thek kr skte hai or sath hi apni sehat ka bhi. Neche btae gae cheezen hazma thek krne mai boht madad deti hai.

1- Gosht ki Yakhni (Broth)

Gosht ki Yakhni Broth
Yakhni ya gosht ka soup bnana boht asan ha. Gosht, mutton ya chicken se koi bi le len or 6 se 7 cup pani mai ubaal len. Is mai namak or kali mirch bi daal skte hai. 2 se 3 ghante tak halki aanch pe ubalen or rozana piyen. Yakhni mai boht taqat hoti ha or aise minerals hote hai jo maide ko aram dete hai. Ye hazma theek krne k lye ek behtareen tareeqa ha.

2- Zada Fibre Wala Khana
Expert doctors ki raaye mai zada fibre wale khane khane se hazma acha hota ha. Sabzian, fruits, daal, daliya, dry fruits or whole grain cheezon mai sab se zada fibre hota ha. Ye khane maide pe zada bojh nahi dalte or asani se hazam hote hai. Koshish kren ke in cheezon ko zada se zada istemaal kren ta k maide ki bimaryaan na hon.

3- Pani Zada Piyen
Pani hazme k lye boht zarori ha. Pani pait mai sakht khano ko naram krta ha or taqat jazab kr k jism k dosre hison mai pohnchata ha. Pani ke begair humare poore jism ka nizaam kharab hota ha or iske natije mai kabz k masle paida hote hai. Din mai 8 se 9 glass pani piyen. Is cheez ka bhi khayal rkhe k pani hamesha khane se pehle ya khane k adhe ghante bad piyen. Khane ke beech mai pani peene se khana hazam krne k acids zaya hote hai.

4- Stress Na Len
Boht zada pareshani ya tension maide par bojh daal daiti ha ya digestion ko puri tarha rok dati ha. Jb hum pareshan hote hai to dimag pe boht pressure hota ha, wo apne ap ko balance mai rkhne k lye jism ke kafi sare nizaam band kr deta ha, digestive system bi in mai se ek ha. Is waja se stress bilkul na liye kren. Aise kam dhoonden jo krne se khushi milti ha.

5- Maide K Acids Barhaen
Jee han, ap khud apne maide k acids barhaen. Khane ko pait se antron mai jane lye lye chote chote dano ki surat mai hona chahye. Ye chote chote dane hydrochloric acid ki madad se hote hai jo humare pait mai paya jata ha. Agr ap khane thek se nahi chabaen ga, to ye bare bare tukron ki surat mai pait mai jae ga. Wahan par pait ko zada acid lgana pare ga khane ko torne k lye. Jb bar bar pait ko yehi kam krna pare ga, to ek time aisa ae ga k ye acid kam hojae ga or hazma kharab ho jae ga. Is lye khane ko achi tarha se chaba k khaen ta k zada acid na lage. Or khana khane se ek ghanta pehle ek glass pani mai 1 chamach nimboo ka ras daal k piyen. Is se pait k acids banne mai madad hogi.

6- Khane Ki Adaten 

Khane Ki Adaten
Hum jaise khana khate hai uska is bat par boht asar parta ha ke humara maida kaise kam krta ha. Khane ki kch adaten badalne se hazma behtar ho skta ha.
Khana boht hi sukoon se khaen or khane par dhayan den. TV band kr den or mobile phone rakh den. Is cheez pe dhayan den k apka khana kaisa dikhta ha, iski kaisi khushbu ha or iska kaisa taste ha. Jb pareshan hon ya mood kharab ho to khana na khaen ku k dimag par agr stress hoga to wo digestion ka kam thek se nahi kre ga. Khana ache se chaba k khaen Or akhir mai khana khate waqt kisi se bat na kre.

7- Exercise
Exercise k faide unginit hai. Ye ek sehat mand zindgi k lye boht zada zarori ha. Hazme k maslon k lehaz se ye or bi eham ha ku k ye hazma thek krti ha. . Sara din ek hi jaga bethe rehne se disgestive system aalsi hojata ha. Chalne phirne se or exercise krne se maida harkat mai ata ha or zada taizi se kam krta ha. Rozana kam se kam adha ghanta walk kre ya koi or exercise kren. Ye krne se hazma bilkul thek hojae ga.

8- Time Se Khana Khaen
Doctors kehte hai nashta, dopeher ka khana or sham ka khana time se khaen. Agr hum roz nashta ek hi waqt pe krte hai to humare jism ko pata hota ha roz is time kam krna ha. Khane ka time har waqt change krte rehne se body confuse hoti ha or digestion kharab hota ha.

9- Oily Khana
Oily khane maide pe kafi bojh dalte hai. Jb hum ksi bi tarha ka oily khana jaise pakore, burger, fries ya charbi wala gosht khate hai to hazma upset hota ha. Digestive system ko ye bhari khana hazam krne mai mushkil hoti ha. Is waja se oily cheezen kam khani chahye. Agr oil use krna hi ha to zada fibre wale khane k sath bnana acha hota ha.

10- Artificial Cheezen Na Khanen
Koi bhi processed khane or juices na istemal kre. Cold drinks or juice ko artificially meetha kia jata ha. Ye artificial meetha pait k eham bacteria ko khatam krta ha jo hazme mai madad dete hai. Ksi bi tarha k dabe wale khane mai preservatives hote hai. Preservatives humare jism k lye bilkul nai ache. Processed khano mai koi taqat nahi hoti or ye ghr mai sirf bimari late hai.

Artificial Cheezen Na Khanen

Hazma thek hona ek tandrust zindgi k lye behad zarori ha. Dawaiyan istemal krne ki koi zarorat nai ha ku ke in sb tareeqon par amal krne se ksi k bi hazme k masle khatam ho skte hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *