Top 21 Fruits Jo Apki Sehat Ke Liye Both Faidamand Hai

20 Fruits Jo Apki Sehat Ke Liye Both Faidamand Hai

Fruits qudrat ka ek bot hi qeemti tohfa ha. Har fruit mai boht vitamins or mineral bhare hai jo humen tandrust krte hai or lambi or achi zindgi guzarne mai madad dete hai. Lekin sab fruits mai kch aise fruits bhi hai jo doctors ke hisab se top par ate hai. In mai zada fibre or antioxidents hote hai. Koshish kren ke roz in mai se 3-4 fruits khaen.

1- Grapefruit

Grapefruit

Oranges apne Vitamin C ke lye mashhoor hai lekin kia kisi ko pata ha k grapefruit, Vitamin C ki race mai sab se age ha. Roz adha grapefruit bhi apki sehat mai boht farq la skta ha. Ye skin ke lye, balon ke lye or arthritis ke patients ke lye behtareen ha.

2- Apples

Sab se aam milne wala phal yehi ha. Is mai mojood antioxidants dimag ki hofazat krte hai, cancer se larkte hai, blood pressure or cholesterol kam krte hai. Iske chilke mai bhi boht taqat ha. Roz ek apple khane ki puri koshish kren.

3- Mangoes (Aam)

Mangoes beta-carotene or vitamin c se bhare hote hai. Ye mosam ka phal ha or saal mai kch mahine hi nazar ata ha. Iske ander paye jane wale vitamins hadiyon ko mazboot krte hai or immune system ko bimariyon se larne ki taqat dete hai.

4- Pineapple (Ananaas)

Pineapple Ananaas

Ye mehnga or kam dikhne wala phal ha. Is mai inteha ki ghizayat bhari ha. Juice bana ke piye, burger mai dale ya fruit salad mai, lekin ye khaen zaroor. Pineapple cancer se larta ha, cancer or tumor ke risk ko kam krta ha, heart attack se nahi hone deta or pregnancy ke chances barhata ha.

5- Pomegranate (Anaar)

Ek anaar mai kisi bhi phal se zada ghizayat payi jati ha. Roz ek chotai glass anaar ka juice peene se dil ko taqat milti ha, heart attack ka khatra kam hota ha, cholesterol level or blood pressure kam hota ha. Ye fruit market mai har time nahi hota is lye jab bhi mile ye lazmi khaen.

6- Avocado

Ye phal dekhne mai sab se mukhtalif ha. In mai boht se ache fats hote hai, jo cholesterol ke patients ko faida deta hai. Dieting krne walo ke lye bhi avocados ek khush khabri hai, ku is fruit mai carbs boht kam hote hai.

7- Bananas

Snacks ke lye ye sab se behtareen phal ha. Is mai potassium, fibre or behad energy bhari ha jo sara din active rakhne ke lye kafi ha. Bhook lagne par chips, chocolate ya biscuits khane se behtar ha ap kele khaen. Ye khane se blood pressure control mai rehta ha or hadiyan mazbot hoti ha. Height barhane mai bhi ye boht madad krta ha.

8- Grapes

grapes

Har chote angoor mai boht taqat bhari ha. Iske faide bhi unginit hai, ye dil ko taqat deta ha, cholesterol kam krta ha, khoon ki kami door krta ha or skin achi krta ha. Roz angoor k kch dane lazmi khaen.

9- Cherries

Ye chote chote phal sehat k lye boht ache hai. Ye anemia k patiens k lye faidamand hai, dil ki dimariyan door krte or cancer ka khatra kam krte hai. Cherries khane se neend bhi achi ati ha.

10- Peaches (Aaroo)

Peaches Aaroo

Ye phal skin ko shine deta ha. IskeĀ  ander ke antioxidants, fibres or minerals blood pressure patients ke lye behtareen hai. Ye baal, nakhoon, skin or immune system ko mazboot krta ha.

11- Papaya (Papita)

Papita har tarha ki bimari k ilaj ke lye istemaal hota ha. Iske ander ke beej se bhi ayurvedic dawaiyan banti ha. Paapita khane se hazma acha hota ha, skin mai shine ati ha, periods k dard ka dard kam hota ha or dil ko taqat milti ha. Iske ander ke beej bhi salad mai daal ke kha skte hai.

12- Olives

Olives

Olives mai iron, copper, calcium, oleic acids or aise antioxidants hai jo dil ko sehat dete hai, hadiyan mazboot krte hai, baal or nakhoon ko shine dete hai, cancer mai madad deta hai or liver ki kharabiyan thek krte hai. Roz 2-3 olives khana boht acha hota ha.

13- Watermelon

Ye laal phal ras or taqat se bhapoor ha. Garmiyon mai ise zada se zada khaen. Ye cancer, dil ki bimari, blood pressure, hazme ke lye intehai acha ha. Tarbooz tumor jaisi bimariyon se bhi larne mai madad deta ha.

14- Cantaloupe

Cantaloupe

Agar ap ye phal nahi khate to khana shuru kr den. Is phal mai behad ghizayat ha. Is mai mojood beta carotene skin or ankhon ke lye boht acha ha. Diebetes or arthritis k patients ko ye khane se aram milta ha. Garma khane se hazma acha hota ha or bimariyon se larne ki taqat milti ha.

15- Plum

Plums kise ache nahi lgte? Lekin kiya kisi ko pata ha ke ye khane se breast cancer or diabetes ka khatra kam hota ha or dil ki ki hifazat hoti ha. Iske ander ke antioxidents hazma thek krta hai or yad dast bhi taiz krte hai.

16- Kiwi

Kiwi

Ye khoobsurat fruit sara saal milta ha is lye ise fridge mai zaroor rakhen. Kiwi dil ki bimariyan or cancer nahi hone deta. Ankhon ki roshini taiz krta ha or hadiyan or dant mazboot krta ha. Ye nashte mai, snacks mai ya salad ke tor par zaroor khaen.

17- Oranges

Oranges vitamin C or faidamand compounds se bhare hote hai. Ye khane se humare immune system ko bimariyon or infections se larne ki taqat ati ha. Cancer, blood pressure or cholesterol ke patients ko thek hone mai madad krta ha. Oranges kidney ko thek se kam krne ki taqat dete hai. Ye fruit itna heavy bhi nahi hota is lye roz ek khaen.

18- Blueberries

Ye chote se neele phal, umer ke sath hone wali bimariyon se bachate ha. Blueberries pathon ko mazboot krte ha, ankhen or yad dasht taiz krte hai. Roz blueberries khane se immune system itna mazboot hota ha ke koi bhi choti bimariyan nahi hoti.

19- Strawberries

Strawberries

Strawberry jitna pyara phal ha is mai taqat bhi itni zada ha. Iska milkshake bnaen, juice bnae ya salad mai daal ke khaen lekin isko apni diet mai zaroor rakhen. Ye yad dasht or ankhen dono taiz krti hai, hadiyan mazboot krta ha or cancer ka khatra kam krta ha.

20- Guava (Amrood)

Is phal mai itni mithaas nahi hoti, ye diabetes or cancer patients ke lye faidamand ha. Amrood ankhon ke lye boht acha ha. Pregnancy mai baby ki growth mai madad krta. Amrood dimag taiz krta ha or chehre ki rangat achi or wrinkles door krta ha.

21- Blackberries

Blackberries

Ye fruit market mai har time nahi milta. Is lye jab bhi mile ye zada se zada khaen. Blackberries dil ko taqat deti hai or cancer jaisi bimaryiyan nahi hone deti. Agar cancer hojae to uski growth ko bhi rokti hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *