Top 25 Pait Ko Kam Karne Ke Tareqe – Weight Loss Tips in Urdu/Hindi

Pait Ko Kam Karne Ke 25 Tareqe

Pait barh jana zindgi ki ek boht bari haqeeqat ha. Pait ki charbi ko aam tor par boht si bimariyan (Jaise diabetes, dill ki bimari or cancer) se jora jata ha. Agar ap pait kam krne ki koshish kr rae hai to ye ek both hi achi bat ha, lekin pait jitni asani se barh jata ha isko khatam krna utna hi mushkil hota ha. Internet par itne tariqe btae gae hai pait kam krne k, in main se koi kam krta hai or koi bilkul nahi krta. Ek gehri research k baad humne both se tariqe ikathe kiye hain jin se pait kam krna main apko madad mil skti hai.

1. Nashta Na Choren 
Log smjhte hai k nashta chorne se pait jaldi kam hoga, lekin haqeeqat kch or ha. Ulta nasha na krne se pait barhne ke chances barh jate hai. Is waja se jagne k ek ghante tk nashta zaroor kr lena chahye.

2. Tension Na Len
Tehqeeq se pata chala ha k jo log zada stress lete hai, unki body cortisol naam ka ek hormone release krti ha jo pait barhne ki waja banta ha. Is waja se tension na liye kre.

3. Zada Fibre Khaaen
Tehqeeq btati k fibre wale khane jaise daal, fruits or daliya, khaane se pait ki charbi kam hoti ha.

4. Ghee Chor Den
Ghee, butter ya margarine jaisi cheezen chor den. Aise oils jo jame hue hote hai wo pait main ja k charbi barhane main madad krte krte hai. Ye bilkul na khaen.

5. Zada Sharaab Na Piyen
Sharaab ke kch faide hon ga lekin iske nuqsaan both hi zada hai. Sharaab peene se maotaape ka khatra barhta or saath hi pait ka bi. Zada sharaab peene se pait ki charbi jaldi barhti ha.

6. Cheeni Kam Istemaal Kren 
Cheeni main aise chemicals hote hai jin se motaapa taizi se barhta ha. Meethe khane kam khaen or agar khane ha to is mai refined sugar istemaal kre.

7. Aerobic Execise Kren
Research btati ha k aerobic warzish, pait ki charbi kam krne k lye sb se achi warzish ha.

8. Carbs Khatam Kr Den
Carbs jaise k maida, cakes, pastries or bread, apne khane se khatam kr den. Ye cheezen pait ki charbi ko do gunhi tazi se barhati hai.

9. Naariyal Ka Tail
Khana bnane k lye Naariyal ka oil istemaal kre. Olive oil is se bhi behtar option ha. Ye dono oils jism main charbi ko jamne nai dete. Research se pata chala ha ke agar mote logo ko ghee k bajae coconut oil main bana khana khilaya jae unka pait 1.1 inch kam hojata ha.

10. Zada Protein Khaen
Wazan par qabu pane k lye protein both zarori ha. Tehqeeq se btati ha k jo log zada protein khate hain unke pait ki charbi kam hoti bajae unke jo kam protein khate hain.

Zada Protein Khaen

11. Wazan Uthane Ki Warzish Kren
Agar aerobics k saath saath wazan uthane ki exercise (weight lifting) ki jae to pait ki charbi raftaar k sath khatam hoti ha.

12. Cold Drinks Se Perhaiz kren
Insan ke jism ko ek hafte main jitni cheeni ki zarorat hoti ha itni cheeni ek glass cold drink main hoti ha. Cold drinks ki cheeni jism main charbi ki surat main store hoti ha. Pait agar kam krna ha to cold drinks chor den.

13. Pani , Pani, Pani
Pani jism main charbi ko khatam krta ha. Zada pani peene se metabolism taiz hota ha or is se charbi ghulti ha. Jo log pani kam peete hai wo zayada jaldi mote hote hai.

14. Bharpoor Neend Kre
Jo log kam sote hai unke ander charbi zada produce hoti ha. Roz kam se kam 7 ghante zaroor soen.

15. Fish 
Salmon, tuna, sardine, mackerel or trout jaisi machlion k ander omega-3 naam ki charbi hoti ha. Tehqeeq se pata chala ha k in machlion ki charbi pait ki charbi kam krti ha.

16. Fruit Juice Na Piyen
Dabe wale fruit juice k faide hote hai lekin in main cheeni itni hi hoti ha jitni cold drinks main. Preserved fruit juice se behtar ha fresh fruit juice piyen.

Fruit Juice Na Piyen

17. Apple Cider Vinegar
Apple cider vinegar khane mai istemaal krna both acha hota ha. Lekin iska sab se bara plus point ye ha k ye jism ki charbi kam krta ha.

18. Green Tea Piyen
Green tea sehat k lye both achi hoti ha. Is mai aise antioxidant hote hai jo metabolism ko taiz kr k pait ki charbi khatam krte hai.

19. Sone Se Pehle Kam Khaen
Sone se do ghante pehle khana kha len or wo khana bhi itna heavy nai hona chahye. Sone se pehle ek glass pani piyen or kch na khae.

20. Zada Khana Na Khaen
Khana pura pait bhar k na khaen. Khana hamesha pait bharne se thora sa pehle chor dena chahye. Zada khane se metabolism ki raftaar kam hoti ha.

21. Dark Chocolate
Dark Chocolate main aise minerals hote hai jo metabolism ko taiz krte hai. Sbha or dopeher k khane k beech mai thori si khana acha hota ha. Is baat ka khayal rahe k dark chocolate mai cheeni zada na ho.

22. Nuts

Snacks k lye fries or pastries ki jaga nuts khaen. Badaam, pista, kaaju, akhrot or moong phalli jaise nuts mai ache fats hote hai. Ye pait kam krne mai both madad dete hai.

Nuts

23. Sabzian
Khane mai sabzian, khaas tor par green sabzion ka istemaal barha den. Salad zada se zada khaen. Is se bhook bi kham lge gi or metabolism bi taiz hoga.

24. Honey
Roz subha jaagne k bad, adha glass neem garam pani mai ek chamach shehd mila kr pee len. Roz peene se pait ki charbi mai kami zaroor nazar ae gi.

25. Apna Zindgi Guzarne Ka Tariqa Badlen
Is article ki ksi ek cheez par amal krne se kch nai hoga. Agar acha result chahye to apna lifestyle badalna hoga. Pait kam krne k lye zada se zada cheezon pe amal kren.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *